Tuesday, January 26, 2010

Happy Republic Day......

Woh chal rahaa thaa thakaa saa,
Bechain bedam jhukaa saa........

Kesari maathe pe uske pankbindu kuchh lage,
Uski shwet chhaati pe khoon ke chheente pade,
Neelaa chakra chalte chalte charmaraakar rukaa saa,
Woh chal rahaa thaa thakaa saa,
Bechain bedam jhukaa saa........

Koi to khaadi pahankar deha ko khaataa rahaa,
Devataa ke naam par dukh dard butwaataa rahaa,
Saath varshon kaa smajh, samajhaa use chuk gayaa saa
Woh chal rahaa thaa thakaa saa,
Bechain bedam jhukaa saa........

Mai bataa doon woh nahi bedam naahi bechain hai,
Daudane aage ki taiyaari men jkukaa ke nain hai,
Daud kar nikalegaa jyon teer kamaan se chhutaa saa,
Woh chal rahaa thaa thakaa saa,
Bechain bedam jhukaa saa........

Ek kadam peechhe ko le chhalaang lambi maaregaa,
Rokanaa chaahegaa jo bhi, shatru woh har haaregaa,
Pyaaraa yeh ganhtantraa apnaa, rahe hameshaa yuvaa saa,
Hai nahi woh thakaa saa,
Dikhtaa nahi woh jhukaa saa,
pank se nikalaa hai pankaj,
Keechad men hai woh kamal saa,
Urjaa nayyee shakti nayee,
Nav praanh desh men Phoonkaa saa.

Bechain- restless; Bedam- breathless;
Chuk gayaa- finished;Pankbindu- drops of mud;
Deha- body;Pank- mud; Pankaj- lotus;
Keechad- mud; Kamal- lotus;Chhalaang- jump;
Praanh- life


1 comment:

  1. Dear Elisabetha5147, Please comment in english or at least mention the language, along with your comments. I think it is "fun fill " in chinese or japanese. Thank you!

    ReplyDelete