Saturday, January 2, 2010

Ab ke Baras (Happy New Year)

Beet gayaa phir saal ek aur,

Phir aayegaa nayaa ek daur,

Bichhade phir se mil jaayenge,

Naye phool bhi khil jaayenge,

Geet sajenge phir adharon par,

Baahon men phir hogaa zor.

Nayaa ek daur…

Aankh men aas ke deep jalenge,

Dil men dayaa kaa neer bharenge,

Manzil pe pahunchenge hriday ki,

Beech raah nahi kadam thakenge,

Aalingan men har maanav ho,

fark naa koi shyaam yaa gaur.

Nayaa ek daur…..

Nyaay ki ujali dhoop khilegi,

Dukh kashton ki raat dhalegi,

Har naari Durgaa hogi aur,

Abalaa phir sabalaa men dhalegi,

Koi nahi Roochika hogi,

Dandit bhi honge Rathaur.

Nayaa ek daur….

Kop bhawan men kyon baithe tum,

Chaand amaawas ke bane ho tum,

Prashnon ke uttar nahin dete,

Kyon shail paashaanh bane tum,

Tumko Dronhaachaarya banaayaa,

Eklavya mai banaa ek aur.

Nayaa ek daur…..

Mere shabdon ko sur de kar,

Tumne geet ki rachanaa ki thi,

Taan tumhaari saath rahe bas,

Maine yehi tamannaa ki thi,

Ab ke baras chhoo lo bikhare sur,

Tham jaaye antarman shor,

Toote naa vishwaas ki dor,

Araj hamaari karnaa gaur,

Dekho chaahe tum jis aur,

Paaoge hamko chahun aur,

Nayaa ek daur.


I won’t bore you any more,

Or you may show me the door,

I’ll stop this nonsense only,

If you give me Rs ten crore.


Adhar- lips; Neer- water; Aalingan- embrace;

Maanav- human being;Shyaam- black;

Gaur- white;Abalaa- weak lady;

Sabalaa- strong lady;Shail- mountain;

Pashaanh- stone;Tamannaa- wish;

Araj- request;Chahun aur- everywhere

Gaur karnaa- taking into consideration;


No comments:

Post a Comment