Thartharaate hont, dagmag kadam, panili aankh hai,
aaj phir chhootane lagi hai kalam haath se kyon?
Sookhi nahi thi pichhale pannon ki syaahi,
rukti nahi aawaaraa shabdon ki aavaajaahi,
charmaraate kivaadon se woh barbas ghuse aate,
aur tooti hui khidki se dabe panv nikal gaye kyon?
...................kalam haath se kyon?
Rojandaari ki kadi mehanat se sooraj bahut thak gayaa,
chaand bhi naukri par aane se pahale hi bhatak gayaa,
bojhil andheri raat ka wazan uthaane se katraate hue,
kuchh beemaar taare bhi, chupchaap chhitar gaye kyon?
...................kalam haath se kyon?
railgaadi ki tarah khadkhadaataa dil, thaharne lagaa hai,
patariyon par break ki tarah, cheekhkar bund hone lagaa hai,
station pahunchane ki aas men, outer par hi padaa rah gayaa,
zindagi ki hariyaali ke signal, achaanak laal ho gaye kyon?
..................kalam haath se kyon?
Shaayad bahare kaano men mere, kisi ki taan pad jaaye,
shaayad kisi saaz ki aawaaz, dil tak mere pahunch jaaye,
shaayad kisi kaa geet mere honton se phir se mil jaaye,
bedum meri aas pe, woh phir ek baar huns pade kyon?
...................kalam haath se kyon?
Rojandaari- daily wages;
As I have already said..It is one of the touchy poems...You write really good. You can ask anyone. your commenets on my blog were hilarious. I couldnt contorl my laughter.Your short and sweet poems were good to read on my blog and made me laugh alot. Thanks for eveything. Tc
ReplyDeleteThank you Preeti! Nice to know, that you considered my comments hilarious and laughed a lot. I thought that I am a damn serious person. Keep Laughing!!
ReplyDeleteVa va va va va va ...........to good yaar
ReplyDeleteye poem padhkar mein purane din yaad aa gaye.
aapki kavitaiy yaad aa gai (chidiyaghar aur bhi bohotsi kavitaie,parodi)
parodi se aapko kuchh yaad aaya.........
Thanx sis! Bahut dinon ke baad ghutan se baahar nikli hai, chhupi thi baadalon ki ot men, aaj angadaai leke nikli hai, jhaankkar kambal se baahar dekhati hai, darti hai jaane kis gham se, yeh to chup rahati hai, duniyaa se pagali darti hai.
ReplyDeleteYeh dare hue, sharmile labz,
ReplyDeletemujhe apni or kheechtain hain kyon,
kuch to hai aapki likhavat mein,
aapki kavita, meri shayari ko bulaati hai kyon?
Kyon ?? kyon ki saas bhi kabhi bahu thi! :D
ReplyDeletewah wah wah wah!!
Thanx AAAAlok! at last you could find some time to comment on my blog. Poore 6 din baad. Bahooooooot Nainsaafi hai. paehli baat to yeh ki mai to straight hoon phir tujhe yeh LABZ kyoooon khichate hain? as far as Kavita and Shayari is concerned, yeh kaunsi kanyaaen hain? sab lafda dikhtaa hai bhai!!!!
ReplyDeleteKyonki,Pafulla bhi kabhi PraFOOL thi...:)
ReplyDeletehe he he....... :D
Hmm ... I'm also in the Kyon mode ... I'm relating to this one!
ReplyDelete