Saturday, August 15, 2009

COME ON INDIA!

Ho ke too nirbhay nishank, jeet le too badh ke jung,

Bhool ja woh saathi sung, har prahaar vyarth kar!

Too chale to yoon lage,ashva hasti aur bhujang,

Kantakon ko raundkar, raah ko nishkant kar!

Roke jo shatru agar,arihant ban prahaar kar,

Teri vijay atal hi hai, jeet kaa hoonkaar bhar!

Paak ho yaa cheen ho, chaal sabki too samajh,

Kasaab maovaadi kaa, samool too vinaash kar!

Shaantipriya hone ko, koi durbaltaa na samjhe,

Mitra se too preeti kar,dushta khal sanhaar kar!

Teri aazaadi amar ho,dhwaj tirang utthaan ho,

Sar kataa tu, na jhukaana, yeh kasam sweekar kar!!

JAI HIND!! Happy Independence Day!!

6 comments:

  1. Happy Independence day to you and your family...It was an enthralling write UP..Jai Hind....:)

    ReplyDelete
  2. Beautiful shayari. It will be helpful though,if you can write the meanings of some difficult words for us.

    ReplyDelete
  3. Thanx prafulla for appreciating the so called shaayari, I know u r making fun of me still giving meaning of some words:nirbhay-without fear, nishank-without doubt, bhujang-snake, nishkant-clear or without thorns, arihant-one who destroys enemy, durbalta-weakness, khal-bad man.. OK?

    ReplyDelete
  4. Jai Ho! bade dino baad shuddh hindi mein chhandobaddh kavita padhi. Vigat ki smritiyon mein ja pahuncha. Bees saal pahle "Niraamay" mein likhi tumhari "Chidiyaghar" adi kavitaon ki yaad taaja ho gayi. Apne andar ke kavi ko jeevit rakhne ke liye badhai.

    ReplyDelete
  5. dhanyavaad! yeh tumhaare jaise dost hi hain hai jo is susuptaavasthaa men pade kavi(?) ko jagaa chuke hain. ab aapko hi bhugatnaa hai.
    " bahut gahare dabaaya thaa mujhe duniyaa ne mrityunjay, magar unke haath se mitti hi kum phisli"

    ReplyDelete