Upvan ke pushpon ki surabhi kahati hai,
Sooraj ki gunguni rashmi kahati hai,
Jharnon ki dhaaraa ki kalkal kahati hai,
Karti abhinandan srishti ki har rachanaa,
Shubhkaamnaa janmadin ki tumko deti hai.
Man ki nadiyon si uchchhrinkhal bahati hai,
Rajani ke swapnon si nainon men rahati hai,
Ban kar lohit har dhamni men bahati hai,
Trishnaa tumko kuchh dene ki rahati hai,
Shubhkaamnaa janmadin ki tumko deti hai.
Upvan-garden; Pushpa-flower; Surabhi-fragrance;
Gunguni-lukewarm; Rashmi-rays;
Jharnon ki dhaaraa ki kalkal-sound of water flow from fountain;
Abhinandan-greeting; Srishti-universe; Rachanaa-creation;
Shubhkaamnaa-good wishes; Uchchhrinkhal-unrestrained;
Rajani-night; Swapna-dream; Nain-eyes; Lohit-blood;
Dhamni-artery,blood carrying vessel; Trishnaa-craving,thirst;
wonderful poem....and ya poem written for harshala was also great. but i codn'tsee it on the blog. anyways...for whom was it ?
ReplyDeletevery nice ..........
ReplyDeletehamko bhi aisa gift chahiye birthday per hi nahi kabhibhi chalega nahi dodega
dossare par poem dekhkar hairaan naa ho,
ReplyDeletemrityunjay tum par bhi likhegaa pareshaan naa ho!
he he!!